Aankhein ki chhat pe tahalte rahe kaale saaye,
Koi pahlo me ujale bharne nahi aaya…!
Kitni diwali gayi, kitne dashahare beete,
Inn munderon par koi deep na dharne aaya…!!
~0~
Gaon gaon gaata phirta hoon, khud me magar bin gaaya hoon,
Tumne baandh liya hota to khud me simat gaya hota main,
Tumne chhod diya hai to kitni door nikal aaya hoon main…!!
Kat na paayi kisi se chaal meri, Log dene lage mishaal meri…!
Mere jumloon se kaam lete hain wo, Band hai jinse bolchaal meri…!!
~0~
Maikade band kare laakh zamane wale
seher me kam nahi aankho se pilane wale.
~0~
meri aankho me mohabbat ki chamak aaj bhi hai
halaki usko mere pyar pe shaq aaj bhi hai
naav me baith ke dhoye the usne haath kabhi
poore talab me mehandi ki mehak aaj bhi hai.
~0~
saja ye hai ki neende cheen li dono ki aankho se
khata ye hai ki ham dono ne milkar khwaab dekha tha.

No comments:
Post a Comment