Thursday 3 December 2015

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak...

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Zindagi ke sabhi raste ek the,
sabki manzil tumhare chayan tak rahi.
aprakashit rahe peer ke upnishad,
man ki gopan kathayein nayan tak rahi,
Praan ke pristh par preet ki vartani
tum mitati rahi, mai banata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi,
Manch se mai tumhe gungunata raha.

Ek khamosh halchal bani zindagi,
gehra thehra hua jal bani zindagi,
tum bina jaise mehlon me beeta hua
urmila ka koi pal bani zindagi.
drishti akaash me aas ka ek diya
tum bujhaati rahi mai jalaata raha.

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..

Tum chalito gayi, mann akela hua,
saari sughiyon ka pur jor Mela raha,
jab bhi laati nayi, khushbu o main saji,
mann bhi bela hua, tan bhi bela hua..
Vyarth ki baat par, khud ki aaghat par,
Ruthati tum rahi main manaata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..!!

No comments:

Post a Comment